ashqi main kuch naam kar ja’ain ge dosto
kuch na ban paya to mar ja’ain ge dosto
hum boo’ey muhabbat, hain muqaddar us ka
woh kali na khili to bikhar ja’ain ge dosto
shahr e wafa ki janib ummid se chale hain
jo wahan jafa mili to kidhar ja’ain ge dosto
us ki nazar andazi aur dunia ke zubandarazi
yehi rakht e safar ho ga jidhar ja’ain ge dosto
jafa uski bistar e marg pe laai hum ko
rah taktey taktey uski guzar ja’ain ge dosto
Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.