Unki nazaron ne dekha kuch is tarah se,
mehkhane mein ho hum behake is tarah se,
na karti khata nazarein na lutata chain,
dil apna gava kar yun baithe jannat mili ho aise.
submitted by: sahil
Aankhon mein nasha is kadar khulne se mana kar diya,
Paimaane se chhalki ho raat bhar sharab yun humein behka diya,
Suraj ki kirane khel rahi yun aftaabi chehre se,
Ki zulfon neb hi gir kar hum par pehra kar diya.
Gaalon par laali nazron mein haya,
hai dhadkano ko intezar zindagi ane ko hai,
behke hai kadam shaam ne odi taaron ki chunariya,
umange hai jawan betaabiya machalne ko hai.
submitted by: sahil
Teri adaon ka hua main deewana is kadar,
na waqt ka hosh na khud ki khabar,
na bhuk lage na pyaas bas intezar rahe tere didaar ka,
har jagah har pal tujhe ji dhundti rahe meri nazar.
submitted by: sahil
Padi jo ek nazar hun dekhte reh gaye,
Vaar hua katil muskaan ka hum madhosh ho gaye,
Chahat ki chandani mein bheega yun tan badan,
Hum kali se gulab ho gaye.
submitted by: sahil
Aaj dil un par nisaar hua jaye re,
nahi hua ab tak woh aaj hua jaye re,
pyaar bhara aankhon mein sharab ki atrah,
kaise main chupu yeh benaqaab hua jaye re.
submitted by: sahil
Dilon kay mausam gheray hua hain,
Jab say teri nazar kay pehray hua hain
Jhuka kar palake mein chalti hoon
Jab say ishq tumsay hamaray hua hain…
submitted by: archana
Sookh Jaate Hain Lub,
Thar tharatay labon par hai tera naam,
ankhain hai jhuki kar na dein haal e dil bayaan.
Tum pukaar lena mera naam,
dharkan kar degi raaz e dil bayaan.
submitted by: archana
Sookh Jaate Hain Lub,
Lufz Milte Nahi,
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan..
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi,
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan..
baat chalii terii aankhon se jaa pahu.Nchii paimaane tak
khii.nch rahii hai terii ulfat aaj mujhe maiKhaane tak
ishq kii baate.n Gam kii baate.n duniyaa vaale karate hai.n
kis ne shammaa kaa dukh dekhaa kaun gayaa paravaane tak
ishq nahii.n hai tum ko mujh se sirf bahaane karatii ho
yuu.N hii bahaane qaayam rakhanaa tum mere mar jaane tak
itanaa hii [...]