jo woh haseenon ki haseen na hoti
to khabi is dil ki makeen na hoti
na cha jati meray dimagh pe yoon
agar woh sitam gar zaheen na hoti
sath uska hota to kiya accha hota
sham e zindagi yoon ghamgeen na hoti
ashqi main kuch naam kar ja’ain ge dosto
kuch na ban paya to mar ja’ain ge dosto
hum boo’ey muhabbat, hain muqaddar us ka
woh kali na khili to bikhar ja’ain ge dosto
shahr e wafa ki janib ummid se chale hain
jo wahan jafa mili to kidhar ja’ain ge dosto
us ki nazar andazi aur dunia ke zubandarazi
yehi rakht e [...]
muhabbat ke faqir hum hain, yahan bhi aur wahan bhi
yahan tujh se piyar manga, manga Rab se tujhay wahan bhi
teri mastani baghi aakhain, hain aziz kitni mujh ko
pichay phirain hain meray, main gaya jahan jahan bhi
us phool ki kiya qismat, jo teray dar peh khil gya he
teray didar ka thikana, khoob usko mil gya he
hum pyar ke musafir, hain dhool teri gali ki
teray her qadam ke nichey, bich yeh dil gya hai
galey main gham ka tauq to batata hay
tera inkaar meray shauq ko jagata hay
ishq ke taptay sahra’on main chal key dekha
sarab tera moat key zauq ko barhata hay
meray dil key totnay ki, jo tumhain khabar ho jai
is key hazaron tukron peh, jo tumhari nazar ho jai
samandar baha’ain gi aankhain, tumhari ro ro kar
zindagi tumharey liay shayad, phir jabar ho jai
Teray pyar da khaira main na’een chdna, Phawain toon, Kujh kar le
Ishq dee sooli main vee charna, Phawain toon, Kujh kar le
Jey teri jawani veee naa rawey, meray hunjuaan da pani veee naa rawey
Mar key vee tanoo yaad eh karna, Phawain toon, Kujh kar le
Meray Ishq da boota chota ey, Apney pyar da paani daindee [...]
Rab nay sariaan noon sohna banaya ey
Per ek sohnay nay sanoon sataya ey
Maan kinna ey onoon husn tey apney
Bara pathar dil Rab nain banaya ey..